usko jin aankhon se duniya dikhti hai
us ko jin āñkhoñ se duniyā dikhtī hai
maiñ ne un āñkhoñ meñ duniyā dekhī hai
jis ko merā haath pakaḌnā chāhiye thā
vo merī ik ġhalatī pakḌe baiThī hai
aañkh se niklī tab mujh ko mā'lūm huā
ḳhvāb kī arthī paanī jaisī hotī hai
san navve meñ vo duniyā meñ aa.ī thī
san navve se shaam ye bahkī bahkī hai
vo kahtī thī mar jā.egī mere bin
koī to batlāo ab vo kaisī hai
us ko jin aankhon se duniya dikhti hai
main ne un aankhon mein duniya dekhi hai
jis ko mera hath pakaDna chahiye tha
wo meri ek ghalati pakDe baiThi hai
aankh se nikli tab mujh ko ma'lum hua
KHwab ki arthi pani jaisi hoti hai
san nawwe mein wo duniya mein aai thi
san nawwe se sham ye bahki bahki hai
wo kahti thi mar jaegi mere bin
koi to batlao ab wo kaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.