usko jo kuchh bhi kahun achchha bura kuchh na kare
us ko jo kuchh bhī kahūñ achchhā burā kuchh na kare
yaar merā hai magar kaam mirā kuchh na kare
kaise mumkin hai ki dil rañj pe āmāda ho
aur badle meñ udāsī kā ḳhudā kuchh na kare
dūsrī baar bhī paḌ jue agar kuchh karnā
aadmī pahlī mohabbat ke sivā kuchh na kare
koī hairat koī sūrat nahīñ darkār mujhe
aa.ina yā tirī bāteñ kare yā kuchh na kare
iktifā kar liyā bas dekhte rahne pe tujhe
varna tū jis kā muqaddar ho vo kyā kuchh na kare
log aise haiñ ki jo dil se tasallī bhī na deñ
vaqt aisā hai ki jab koī duā kuchh na kare
chhoḌ kar apne ḳhudā ko tire paas aayā huuñ
aur agar tū bhī mire mas.ale kā kuchh na kare
us ko jo kuchh bhi kahun achchha bura kuchh na kare
yar mera hai magar kaam mera kuchh na kare
kaise mumkin hai ki dil ranj pe aamada ho
aur badle mein udasi ka KHuda kuchh na kare
dusri bar bhi paD jue agar kuchh karna
aadmi pahli mohabbat ke siwa kuchh na kare
koi hairat koi surat nahin darkar mujhe
aaina ya teri baaten kare ya kuchh na kare
iktifa kar liya bas dekhte rahne pe tujhe
warna tu jis ka muqaddar ho wo kya kuchh na kare
log aise hain ki jo dil se tasalli bhi na den
waqt aisa hai ki jab koi dua kuchh na kare
chhoD kar apne KHuda ko tere pas aaya hun
aur agar tu bhi mere masale ka kuchh na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.