usko kar ke salam rang khule
us ko kar ke salām rañg khule
dhīre dhīre tamām rañg khule
ḳhushk hoñToñ pe rakh ke aa.e hañsī
kar ke ye intizām rañg khule
us kī tasvīr kī balā.eñ liiñ
kar ke ye ehtimām rañg khule
din guzārā thā ḳhushk āñkhoñ se
dar pe aa.ī jo shaam rañg khule
chhīn lī pahle merī bīnā.ī
puurā kar intiqām rañg khule
chup the vo zikr ġhair kā sun kar
aap kā le ke naam rañg khule
us ko kar ke salam rang khule
dhire dhire tamam rang khule
KHushk honTon pe rakh ke aae hansi
kar ke ye intizam rang khule
us ki taswir ki balaen lin
kar ke ye ehtimam rang khule
din guzara tha KHushk aankhon se
dar pe aai jo sham rang khule
chhin li pahle meri binai
pura kar intiqam rang khule
chup the wo zikr ghair ka sun kar
aap ka le ke nam rang khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.