usko KHub aata hai har ada juda rakhna
us ko ḳhuub aatā hai har adā judā rakhnā
bāñdh kar zamīnoñ ko āsmāñ khulā rakhnā
ḳhuub jāntā hai ye ik faqīr hāthoñ meñ
kab hai be-kasī rakhnā kab hai mo'jiza rakhnā
jab ḳhudā hue patthar tab se aa gayā un ko
ā.inoñ kī bastī meñ hashr sā bapā rakhnā
koī girte ghoḌe se ye sadā.eñ detā hai
bai’atoñ ke mausam meñ maqtaloñ ko vā rakhnā
is jahān-e-sautī meñ ye hunar hamārā hai
shor karte misroñ meñ harf-e-be-navā rakhnā
maiñ sadaf vafāoñ kā merī turbat-e-ġham par
mashk ik chhidī rakhnā ik diyā bujhā rakhnā
us ko KHub aata hai har ada juda rakhna
bandh kar zaminon ko aasman khula rakhna
KHub jaanta hai ye ek faqir hathon mein
kab hai be-kasi rakhna kab hai mo'jiza rakhna
jab KHuda hue patthar tab se aa gaya un ko
aainon ki basti mein hashr sa bapa rakhna
koi girte ghoDe se ye sadaen deta hai
bai’aton ke mausam mein maqtalon ko wa rakhna
is jahan-e-sauti mein ye hunar hamara hai
shor karte misron mein harf-e-be-nawa rakhna
main sadaf wafaon ka meri turbat-e-gham par
mashk ek chhidi rakhna ek diya bujha rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.