usko luqme ki hawas thi ki sanak khinche thi
us ko luqme kī havas thī ki sanak khīñche thī
haañ yahī ḳhalq-e-ḳhudā apnī hatak khīñche thī
ham ne us raat bajā taur pe mahsūs kiyā
ham ko us samt sitāroñ kī chamak khīñche thī
maiñ samundar kī masāfat pe razā-mand huā
zindagī ḳhud ke liye nān-o-namak khīñche thī
us ko ma.alūm thā maiñ tā.ir-e-be-samt nahīñ
shāḳheñ gul-posh thiiñ mad.hosh mahak khīñche thī
us ke hoñToñ ne mujhe jazb kiye rakkhā thā
un dinoñ us kī duā arsh talak khīñche thī
un ne resham ko ye kahte hue ḳhāroñ pe rakhā
mere hāthoñ ko harīfāna kasak khīñche thī
apne saa.e se lipaT kar mujhe rone do abhī
terī sūrat mire ḳhvāboñ meñ jhalak khīñche thī
us ko luqme ki hawas thi ki sanak khinche thi
han yahi KHalq-e-KHuda apni hatak khinche thi
hum ne us raat baja taur pe mahsus kiya
hum ko us samt sitaron ki chamak khinche thi
main samundar ki masafat pe raza-mand hua
zindagi KHud ke liye nan-o-namak khinche thi
us ko malum tha main tair-e-be-samt nahin
shaKHen gul-posh thin madhosh mahak khinche thi
us ke honTon ne mujhe jazb kiye rakkha tha
un dinon us ki dua arsh talak khinche thi
un ne resham ko ye kahte hue KHaron pe rakha
mere hathon ko harifana kasak khinche thi
apne sae se lipaT kar mujhe rone do abhi
teri surat mere KHwabon mein jhalak khinche thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.