usko mera malal hai ab bhi
us ko merā malāl hai ab bhī
chaliye kuchh to ḳhayāl hai ab bhī
roz yādoñ kī tah banātā hai
us kā jiinā muhāl hai ab bhī
tum ne uttar badal diye har baar
merā vo hī savāl hai ab bhī
jis ne dushman samajh liyā hai hameñ
us se milnā visāl hai ab bhī
dafn ho kar bhī saañs baaqī hai
koī rishta bahāl hai ab bhī
us ko mera malal hai ab bhi
chaliye kuchh to KHayal hai ab bhi
roz yaadon ki tah banata hai
us ka jina muhaal hai ab bhi
tum ne uttar badal diye har bar
mera wo hi sawal hai ab bhi
jis ne dushman samajh liya hai hamein
us se milna visal hai ab bhi
dafn ho kar bhi sans baqi hai
koi rishta bahaal hai ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.