usko mera to mujhe us ka sahaara na mila
us ko merā to mujhe us kā sahārā na milā
log kahte haiñ sitāre se sitāra na milā
ye bhī ġham hai ki mire ġham ko samajhne vaalā
koī is shahr meñ taqdīr kā maarā na milā
aish-o-ārām kī har chiiz milī yuuñ to mujhe
kaise lekin maiñ jiyūñ us kā ishāra na milā
kyā karūñ aaj ki taqdīr hai apnī apnī
mujh ko tūfāñ na milā us ko kinārā na milā
chāhiye koī bahāna bhī to jiine ke liye
mujh ko lekin koī hiila koī chāra na milā
us ko mera to mujhe us ka sahaara na mila
log kahte hain sitare se sitara na mila
ye bhi gham hai ki mere gham ko samajhne wala
koi is shahr mein taqdir ka mara na mila
aish-o-aram ki har chiz mili yun to mujhe
kaise lekin main jiyun us ka ishaara na mila
kya karun aaj ki taqdir hai apni apni
mujh ko tufan na mila us ko kinara na mila
chahiye koi bahana bhi to jine ke liye
mujh ko lekin koi hila koi chaara na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.