usko mujhse rabt ulTa ruKH hai ye taswir ka
usko mujhse rabt ulTa ruKH hai ye taswir ka
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
us ko mujh se rabt ulTā ruḳh hai ye tasvīr kā
ho na ho ye hai karishma aah kī tāsīr kā
mujh ko pahlū se uThānā thā to ḳhud uTh baiThtā
ek pahlū to nikal aatā mirī tauqīr kā
vaa.e qismat merī us kī dū-badū ho kar rahī
sāmne aa kar rahā likkhā mirī taqdīr kā
ik nazar se mujh ko raste par lagā kar chal diyā
maiñ ki phir dekhā kiyā rasta but-e-be-pīr kā
nāma-bar ke haath us ne saare ḳhat mañgvā liye
taar hai baaqī na koī bhī nishāñ tahrīr kā
chaar tinkoñ ko jalāne ke liye bechain thī
barq ko kab thā gavārā silsila tā'mīr kā
maiñ hī apnī saḳht-jānī pe huuñ nādim ai 'tamīz'
vaar to bharpūr thā go yaar kī shamshīr kā
us ko mujh se rabt ulTa ruKH hai ye taswir ka
ho na ho ye hai karishma aah ki tasir ka
mujh ko pahlu se uThana tha to KHud uTh baiThta
ek pahlu to nikal aata meri tauqir ka
wae qismat meri us ki du-badu ho kar rahi
samne aa kar raha likkha meri taqdir ka
ek nazar se mujh ko raste par laga kar chal diya
main ki phir dekha kiya rasta but-e-be-pir ka
nama-bar ke hath us ne sare KHat mangwa liye
tar hai baqi na koi bhi nishan tahrir ka
chaar tinkon ko jalane ke liye bechain thi
barq ko kab tha gawara silsila ta'mir ka
main hi apni saKHt-jaani pe hun nadim ai 'tamiz'
war to bharpur tha go yar ki shamshir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.