usko qubul meri judai na ho saki
us ko qubūl merī judā.ī na ho sakī
tanhā.ī merī mujh se parā.ī na ho sakī
bachpan se us ko shauq thā mehñdī kā dosto
lekin hathelī us kī hinā.ī na ho sakī
jitne pe maañg letā maiñ us kā jahāñ se haath
utnī kabhī bhī merī kamā.ī na ho sakī
guzrī tamām umr usūloñ kī qaid meñ
merī kabhī bhī un se rihā.ī na ho sakī
ḳhushiyāñ jo rūThīñ ham se to maanī nahīñ kabhī
lekin ġhamoñ se aisī jafā.ī na ho sakī
kyoñ nāḳhudā ko Dūbne vaalā nahīñ dikhā
kyoñ pur-asar kisī kī duhā.ī na ho sakī
vāqif huuñ tere dar kī siyāsat se is liye
mujh se tumhāre dar kī gadā.ī na ho sakī
sab kī lagā.ī ham ne bujhā.ī tamām umr
ham se kabhī lagā.ī-bujhā.ī na ho sakī
sahrā se aa ke shahr-e-suḳhan meñ Thahar ga.e
sahrā meñ ham se ābla-pā.ī na ho sakī
tujh se kisī kā saath nibhāyā nahīñ gayā
tujh se kabhī kisī kī bhalā.ī na ho sakī
jaane kahāñ se siikh lī us ne jafā.eñ aur
ham ne vafā jo us ko sikhā.ī na ho sakī
vo uTh gayā jo bazm-e-suḳhan se so us ke ba.ad
ahl-e-suḳhan se sher-sarā.ī na ho sakī
us ko qubul meri judai na ho saki
tanhai meri mujh se parai na ho saki
bachpan se us ko shauq tha mehndi ka dosto
lekin hatheli us ki hinai na ho saki
jitne pe mang leta main us ka jahan se hath
utni kabhi bhi meri kamai na ho saki
guzri tamam umr usulon ki qaid mein
meri kabhi bhi un se rihai na ho saki
KHushiyan jo ruThin hum se to mani nahin kabhi
lekin ghamon se aisi jafai na ho saki
kyon naKHuda ko Dubne wala nahin dikha
kyon pur-asar kisi ki duhai na ho saki
waqif hun tere dar ki siyasat se is liye
mujh se tumhaare dar ki gadai na ho saki
sab ki lagai hum ne bujhai tamam umr
hum se kabhi lagai-bujhai na ho saki
sahra se aa ke shahr-e-suKHan mein Thahar gae
sahra mein hum se aabla-pai na ho saki
tujh se kisi ka sath nibhaya nahin gaya
tujh se kabhi kisi ki bhalai na ho saki
jaane kahan se sikh li us ne jafaen aur
hum ne wafa jo us ko sikhai na ho saki
wo uTh gaya jo bazm-e-suKHan se so us ke baad
ahl-e-suKHan se sher-sarai na ho saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.