usko ruKHsat kar diya ek dushman-e-jaani ke sath
us ko ruḳhsat kar diyā ik dushman-e-jānī ke saath
un ko jaate dekhtā huuñ kitnī hairānī ke saath
ho nahīñ saktā kisī sūrat tirā merā nibāh
rah bhī saktī hai bhalā ātish kahīñ paanī ke saath
jaan kī baazī lagā kar maiñ ne paayā thā use
us ko kho saktā huuñ kyā maiñ itnī āsānī ke saath
chand bāñsoñ ke sahāre rok rakkhā thā jise
vo shajar bhī Dheh gayā kal raat tuġhyānī ke saath
jab maiñ pahle aaya thā is ghar ke āñgan meñ 'salīm'
ek paudā aur bhī thā raat kī raanī ke saath
us ko ruKHsat kar diya ek dushman-e-jaani ke sath
un ko jate dekhta hun kitni hairani ke sath
ho nahin sakta kisi surat tera mera nibah
rah bhi sakti hai bhala aatish kahin pani ke sath
jaan ki bazi laga kar main ne paya tha use
us ko kho sakta hun kya main itni aasani ke sath
chand banson ke sahaare rok rakkha tha jise
wo shajar bhi Dheh gaya kal raat tughyani ke sath
jab main pahle aaya tha is ghar ke aangan mein 'salim'
ek pauda aur bhi tha raat ki rani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.