usko tanhai mein sochun to machal jata hai
us ko tanhā.ī meñ sochūñ to machal jaatā hai
dil mirā kaisā hai jo sochoñ se jal jaatā hai
merī tanhā.ī sunā de jo mujhe merī ġhazal
merā paikar tirī tasvīr meñ Dhal jaatā hai
ro.ab-e-ḳhāmoshī hai yā is meñ hai poshīda jalāl
ġham sadā de ke hī chup-chāp nikal jaatā hai
merī ḳhāmoshī mujhe detī hai quvvat tab hī
Thokareñ khā ke mirā dil jo sañbhal jaatā hai
yuuñ to bajte haiñ ka.ī saaz taḳhayyul meñ mire
dil magar naġhma-e-jāñ sun ke bahal jaatā hai
kaun kahtā hai ki bāzār-e-vafā meñ dil kā
sikka jaisā bhī ho jaisā bhī ho chal jaatā hai
us ko dekhā hī nahīñ Thiik se 'fahmī' lekin
naam par us ke ye dil vahshī machal jaatā hai
us ko tanhai mein sochun to machal jata hai
dil mera kaisa hai jo sochon se jal jata hai
meri tanhai suna de jo mujhe meri ghazal
mera paikar teri taswir mein Dhal jata hai
roab-e-KHamoshi hai ya is mein hai poshida jalal
gham sada de ke hi chup-chap nikal jata hai
meri KHamoshi mujhe deti hai quwwat tab hi
Thokaren kha ke mera dil jo sanbhal jata hai
yun to bajte hain kai saz taKHayyul mein mere
dil magar naghma-e-jaan sun ke bahal jata hai
kaun kahta hai ki bazar-e-wafa mein dil ka
sikka jaisa bhi ho jaisa bhi ho chal jata hai
us ko dekha hi nahin Thik se 'fahmi' lekin
nam par us ke ye dil wahshi machal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.