usko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe
us ko ye zid hai ki rah jaa.e badan sar na rahe
ghūmtī jaa.e zamīñ aur koī mehvar na rahe
us ne himmat jo baḌhā.ī bhī to rakkhā ye lihāz
koī buzdil na bane koī dilāvar na rahe
us ne is tarah utārī mire ġham kī tasvīr
rañg mahfūz to rah jaa.eñ pa manzar na rahe
us ne kis naaz se baḳhshī hai mujhe jā-e-panāh
yuuñ ki dīvār salāmat ho magar ghar na rahe
ab ke āñdhī bhī chalī jab to salīqe se chalī
yuuñ ki rah jaa.e shajar shāḳh-e-samar-var na rahe
ab ye sāzish hai ki likkhe na koī qissa-e-dil
lafz rah jaa.eñ magar koī suḳhan-var na rahe
us ko ye zid hai ki rah jae badan sar na rahe
ghumti jae zamin aur koi mehwar na rahe
us ne himmat jo baDhai bhi to rakkha ye lihaz
koi buzdil na bane koi dilawar na rahe
us ne is tarah utari mere gham ki taswir
rang mahfuz to rah jaen pa manzar na rahe
us ne kis naz se baKHshi hai mujhe ja-e-panah
yun ki diwar salamat ho magar ghar na rahe
ab ke aandhi bhi chali jab to saliqe se chali
yun ki rah jae shajar shaKH-e-samar-war na rahe
ab ye sazish hai ki likkhe na koi qissa-e-dil
lafz rah jaen magar koi suKHan-war na rahe
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.