us lab ki KHamushi ke sabab TuTta hun main
us lab kī ḳhāmushī ke sabab TūTtā huuñ maiñ
dast-e-duā meñ rakkhā huā aa.ina huuñ maiñ
ab jā ke ho sakegī mohabbat vasūq se
ḳhud se bichhaḌte vaqt kisī se milā huuñ maiñ
ābād hai ḳhazāne kī afvāh se vajūd
matrūk jañgaloñ kā koī rāsta huuñ maiñ
dastār kāġhzī hai fazīlat hai naam kī
chhoToñ kī mehrbānī se ghar meñ baḌā huuñ maiñ
ro kar na soyā jaa.e to kyā niiñd kā javāz
bistar kī har shikan meñ paḌā jāgtā huuñ maiñ
huuñ apnī raushnī kī aziyyat meñ mubtalā
jaltā huā charāġh huuñ ulTā paḌā huuñ maiñ
us lab ki KHamushi ke sabab TuTta hun main
dast-e-dua mein rakkha hua aaina hun main
ab ja ke ho sakegi mohabbat wasuq se
KHud se bichhaDte waqt kisi se mila hun main
aabaad hai KHazane ki afwah se wajud
matruk jangalon ka koi rasta hun main
dastar kaghzi hai fazilat hai nam ki
chhoTon ki mehrbani se ghar mein baDa hun main
ro kar na soya jae to kya nind ka jawaz
bistar ki har shikan mein paDa jagta hun main
hun apni raushni ki aziyyat mein mubtala
jalta hua charagh hun ulTa paDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.