us masihai ke sadqe kaam-e-jaan tak aa gai
us masīhā.ī ke sadqe kām-e-jāñ tak aa ga.ī
tajribe karte hue naubat yahāñ tak aa ga.ī
ab to gahvāroñ pe ḳhādim rakh liye māñ-bāp ne
māmtā taḳhmīna-e-sūd-o-ziyāñ tak aa ga.ī
tū ne koshish to yahī ki thī ki ghar merā jale
aag jab bhaḌkī to phir tere makāñ tak aa ga.ī
is nizām-e-āb-o-gil meñ zahr phailāne ke ba.ad
phir vahī shorish zamīñ se āsmāñ tak aa ga.ī
mujh meñ aur duniyā meñ phir kyā farq hogā dosto
zindagī kī hai jo talḳhī gar zabāñ tak aa ga.ī
itnī qurbat thī hamārī apne tīr-andāz se
dhaar ḳhuuñ kī jism se niklī kamāñ tak aa ga.ī
band ye apne tashaḳhḳhus kā na bah jaa.e kahīñ
mauj-e-sail-e-tund ḳhatre ke nishāñ tak aa ga.ī
us masihai ke sadqe kaam-e-jaan tak aa gai
tajribe karte hue naubat yahan tak aa gai
ab to gahwaron pe KHadim rakh liye man-bap ne
mamta taKHmina-e-sud-o-ziyan tak aa gai
tu ne koshish to yahi ki thi ki ghar mera jale
aag jab bhaDki to phir tere makan tak aa gai
is nizam-e-ab-o-gil mein zahr phailane ke baad
phir wahi shorish zamin se aasman tak aa gai
mujh mein aur duniya mein phir kya farq hoga dosto
zindagi ki hai jo talKHi gar zaban tak aa gai
itni qurbat thi hamari apne tir-andaz se
dhaar KHun ki jism se nikli kaman tak aa gai
band ye apne tashaKHKHus ka na bah jae kahin
mauj-e-sail-e-tund KHatre ke nishan tak aa gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.