us mein sari sifat phulon ki
us meñ saarī sifāt phūloñ kī
us kī har baat baat phūloñ kī
jism us kā julūs kaliyoñ kā
us kā chehra barāt phūloñ kī
un laboñ par tamām hotī hai
sarhad-e-mumkināt phūloñ kī
apnī ik phuul jaise chehre se
roz hotī hai baat phūloñ kī
rakh ke phūloñ ko ruḳh pe farmāyā
aise hotī hai maat phūloñ kī
mīr-e-mahfil hai hijr kī ḳhushbū
aur ḳhushbū hai saath phūloñ kī
rang āñkhoñ meñ rah ga.e lekin
aa.ī ḳhushbū na haath phūloñ kī
us mein sari sifat phulon ki
us ki har baat baat phulon ki
jism us ka julus kaliyon ka
us ka chehra baraat phulon ki
un labon par tamam hoti hai
sarhad-e-mumkinat phulon ki
apni ek phul jaise chehre se
roz hoti hai baat phulon ki
rakh ke phulon ko ruKH pe farmaya
aise hoti hai mat phulon ki
mir-e-mahfil hai hijr ki KHushbu
aur KHushbu hai sath phulon ki
rang aankhon mein rah gae lekin
aai KHushbu na hath phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.