us nazar se jo rabta ho jae
us nazar se jo rābta ho jaa.e
kuchh na honā bhī hādisa ho jaa.e
vo kareñ iltijā maiñ tark karūñ
mujh ko ik aisā tajraba ho jaa.e
yuuñ na ho phir ho terā qurb nasīb
yuuñ na ho phir ye sāneha ho jaa.e
naam lete hī dil dhaḌaktā hai
sāmne aa.e vo to kyā ho jaa.e
kaam kitnā hai us kī yādoñ kā
aaj phir se na ratjagā ho jaa.e
jab aziyyat haiñ qurbateñ 'shahnāz'
phir to behtar hai fāsla ho jaa.e
us nazar se jo rabta ho jae
kuchh na hona bhi hadisa ho jae
wo karen iltija main tark karun
mujh ko ek aisa tajraba ho jae
yun na ho phir ho tera qurb nasib
yun na ho phir ye saneha ho jae
nam lete hi dil dhaDakta hai
samne aae wo to kya ho jae
kaam kitna hai us ki yaadon ka
aaj phir se na ratjaga ho jae
jab aziyyat hain qurbaten 'shahnaz'
phir to behtar hai fasla ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.