usne aaKHir diya jalana hai
us ne āḳhir diyā jalānā hai
shaam ko maiñ ne Duub jaanā hai
phir sirā koī haath aa.egā
bas kaḌī se kaḌī milānā hai
merī parvāz meñ ye haa.il hai
raah se āsmāñ haTānā hai
dil kī bāteñ tamām kah dūñgā
bas tumheñ hausla baḌhānā hai
vo jo auroñ pe muskurātā thā
ab use ḳhud pe muskurānā hai
din ke bikhre hue ujāle ko
surma.ī shaam ne churānā hai
us ne aaKHir diya jalana hai
sham ko main ne Dub jaana hai
phir sira koi hath aaega
bas kaDi se kaDi milana hai
meri parwaz mein ye hail hai
rah se aasman haTana hai
dil ki baaten tamam kah dunga
bas tumhein hausla baDhana hai
wo jo auron pe muskuraata tha
ab use KHud pe muskurana hai
din ke bikhre hue ujale ko
surmai sham ne churana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.