usne aankhen mund lin ab koi rut aaya kare
us ne āñkheñ muuñd liiñ ab koī rut aaya kare
ye jahāñ apne kiye par laakh pachhtāyā kare
ab koī manzar hameñ gumrāh kar saktā nahīñ
zindagānī chāhe jitne ḳhvāb dikhlāyā kare
jhuuT kyā hai sach hai kyā sab kuchh hameñ ma.alūm hai
qā.ede qānūn duniyā laakh samjhāyā kare
zindagānī aur mujh meñ roz ik takrār hai
maiñ ise samjhā.ūñ aur ye mujh ko samjhāyā kare
gar ye pāgal-pan nahīñ us kā to āḳhir kyā kaheñ
roz le kar aa.ina andhoñ ko dikhlāyā kare
us ne aankhen mund lin ab koi rut aaya kare
ye jahan apne kiye par lakh pachhtaya kare
ab koi manzar hamein gumrah kar sakta nahin
zindagani chahe jitne KHwab dikhlaya kare
jhuT kya hai sach hai kya sab kuchh hamein malum hai
qaede qanun duniya lakh samjhaya kare
zindagani aur mujh mein roz ek takrar hai
main ise samjhaun aur ye mujh ko samjhaya kare
gar ye pagal-pan nahin us ka to aaKHir kya kahen
roz le kar aaina andhon ko dikhlaya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.