usne aise kaha shukriya mohtaram
us ne aise kahā shukriya mohtaram
maiñ bhī ḳhud ko samajhne lagā mohtaram
mujh se milte hue aam sā vo lagā
zikr terā kiyā aur huā mohtaram
shaah kā haath ham ko ye samjhā gayā
bujh ke hotā hai kaise diyā mohtaram
raah pūchhī hai ham ko batā dījiye
ham ne māñgā hai kab mashvara mohtaram
pattharoñ ke nagar se nikāleñ mujhe
lauT aa.egī merī sadā mohtaram
paañv mere zamīñ par ye Tikte na the
naam ke saath likkhā gayā mohtaram
ḳhud-shanāsī kī manzil hameñ jab milī
khul gayā ham pe bāb-e-fanā mohtaram
us ne aise kaha shukriya mohtaram
main bhi KHud ko samajhne laga mohtaram
mujh se milte hue aam sa wo laga
zikr tera kiya aur hua mohtaram
shah ka hath hum ko ye samjha gaya
bujh ke hota hai kaise diya mohtaram
rah puchhi hai hum ko bata dijiye
hum ne manga hai kab mashwara mohtaram
pattharon ke nagar se nikalen mujhe
lauT aaegi meri sada mohtaram
panw mere zamin par ye Tikte na the
nam ke sath likkha gaya mohtaram
KHud-shanasi ki manzil hamein jab mili
khul gaya hum pe bab-e-fana mohtaram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.