usne apna liya to Thahra main
us ne apnā liyā to Thahrā maiñ
vo samundar hai aur dariyā maiñ
us kī vus.at meñ vus.ateñ merī
us kī gahrā.iyoñ meñ gahrā maiñ
sañg barse ki phuul mat pūchho
TūTnā thā mujhe so TuuTā maiñ
ham-nashīñ kyā jo ham-ḳhayāl nahīñ
anjuman anjuman huuñ tanhā maiñ
rabt-e-guft-o-shunīd ho to khule
log gūñge haiñ yā huuñ bahrā maiñ
ab na jazba na aarzū na umiid
bin divānoñ kā ek sahrā maiñ
yaad rakhnā hī nā-guzīr hai kyuuñ
kabhī tujh ko bhulā bhī saktā maiñ
us ne apna liya to Thahra main
wo samundar hai aur dariya main
us ki wusat mein wusaten meri
us ki gahraiyon mein gahra main
sang barse ki phul mat puchho
TuTna tha mujhe so TuTa main
ham-nashin kya jo ham-KHayal nahin
anjuman anjuman hun tanha main
rabt-e-guft-o-shunid ho to khule
log gunge hain ya hun bahra main
ab na jazba na aarzu na umid
bin diwanon ka ek sahra main
yaad rakhna hi na-guzir hai kyun
kabhi tujh ko bhula bhi sakta main
- Book : Kisht-e-Khayal (Pg. 79)
- Author : Izhar warsi
- Publication : M.R. Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.