usne be-kar ye bahrup banaya hua hai
us ne be-kār ye bahrūp banāyā huā hai
ham ne jaadū kā ik ā.īna lagāyā huā hai
do jagah rahte haiñ ham ek to ye shahr-e-malāl
ek vo shahr jo ḳhvāboñ meñ basāyā huā hai
raat aur itnī musalsal kisī dīvāne ne
sub.h rokī huī hai chāñd churāyā huā hai
ishq se bhī kisī din ma.arka faisal ho jaa.e
us ne muddat se bahut hashr bapāyā huā hai
laġhzisheñ kaun sambhāle ki mohabbat meñ yahāñ
ham ne pahle bhī bahut bojh uThāyā huā hai
bānu-e-shahr hameñ tujh se nadāmat hai bahut
ek dil hai jo kisī aur pe aayā huā hai
us ne be-kar ye bahrup banaya hua hai
hum ne jadu ka ek aaina lagaya hua hai
do jagah rahte hain hum ek to ye shahr-e-malal
ek wo shahr jo KHwabon mein basaya hua hai
raat aur itni musalsal kisi diwane ne
subh roki hui hai chand churaya hua hai
ishq se bhi kisi din marka faisal ho jae
us ne muddat se bahut hashr bapaya hua hai
laghzishen kaun sambhaale ki mohabbat mein yahan
hum ne pahle bhi bahut bojh uThaya hua hai
banu-e-shahr hamein tujh se nadamat hai bahut
ek dil hai jo kisi aur pe aaya hua hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 83)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.