Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne bhari mahfil ko diwana bana Dala

Sanjar Ghazipuri

usne bhari mahfil ko diwana bana Dala

Sanjar Ghazipuri

MORE BYSanjar Ghazipuri

    us ne bharī mahfil ko dīvāna banā Daalā

    ḳhud sham.a banā sab ko parvāna banā Daalā

    dil apnā mohammad kāshāna banā Daalā

    ujḌe hue is ghar ko shāhāna banā Daalā

    vahdat pilā kar mai us sāqī-e-kausar ne

    ik ālam-e-kasrat ko mastāna banā Daalā

    dikhlā ke jhalak apnī allāh ne muusā ko

    dīvāna banā Daalā parvāna banā Daalā

    chullū se pilā saaqī paimāna nahīñ to kyā

    ham ne inhīñ hāthoñ ko paimāna banā Daalā

    ab yaad mire dil meñ har-vaqt butoñ hai

    allāh ghar maiñ ne but-ḳhāna banā Daalā

    'sanjar' ko ḳhabar apnī kuchh bhī nahīñ vahshat meñ

    ulfat ne use aisā dīvāna banā Daalā

    us ne bhari mahfil ko diwana bana Dala

    KHud shama bana sab ko parwana bana Dala

    dil apna mohammad ka kashana bana Dala

    ujDe hue is ghar ko shahana bana Dala

    wahdat ki pila kar mai us saqi-e-kausar ne

    ek aalam-e-kasrat ko mastana bana Dala

    dikhla ke jhalak apni allah ne musa ko

    diwana bana Dala parwana bana Dala

    chullu se pila saqi paimana nahin to kya

    hum ne inhin hathon ko paimana bana Dala

    ab yaad mere dil mein har-waqt buton ki hai

    allah ka ghar main ne but-KHana bana Dala

    'sanjar' ko KHabar apni kuchh bhi nahin wahshat mein

    ulfat ne use aisa diwana bana Dala

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now