usne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya
usne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya
Santosh khirvadkar
MORE BYSantosh khirvadkar
us ne bikhre kāġhazoñ ko chhū ke sandal kar diyā
ik adhūrī sī ġhazal ko yuuñ mukammal kar diyā
kuchh to dīvāna thā maiñ pahle hī us ke ishq meñ
us ne chilman yuuñ haTā.ī mujh ko pāgal kar diyā
us ke jalvoñ kā karishma thā ki jis ne dosto
saarī duniyā ko mirī āñkhoñ se ojhal kar diyā
maiñ bahut uljhā huā thā zindagī ke pher meñ
tū ne merī jaan le kar mas.ala hal kar diyā
us ne yuuñ Daalī ināyat kī nazar 'santosh' par
chhīn kar har ik ḳhushī ġham ko musalsal kar diyā
us ne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya
ek adhuri si ghazal ko yun mukammal kar diya
kuchh to diwana tha main pahle hi us ke ishq mein
us ne chilman yun haTai mujh ko pagal kar diya
us ke jalwon ka karishma tha ki jis ne dosto
sari duniya ko meri aankhon se ojhal kar diya
main bahut uljha hua tha zindagi ke pher mein
tu ne meri jaan le kar masala hal kar diya
us ne yun Dali inayat ki nazar 'santosh' par
chhin kar har ek KHushi gham ko musalsal kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.