Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya

Santosh khirvadkar

usne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya

Santosh khirvadkar

MORE BYSantosh khirvadkar

    us ne bikhre kāġhazoñ ko chhū ke sandal kar diyā

    ik adhūrī ġhazal ko yuuñ mukammal kar diyā

    kuchh to dīvāna thā maiñ pahle us ke ishq meñ

    us ne chilman yuuñ haTā.ī mujh ko pāgal kar diyā

    us ke jalvoñ karishma thā ki jis ne dosto

    saarī duniyā ko mirī āñkhoñ se ojhal kar diyā

    maiñ bahut uljhā huā thā zindagī ke pher meñ

    ne merī jaan le kar mas.ala hal kar diyā

    us ne yuuñ Daalī ināyat nazar 'santosh' par

    chhīn kar har ik ḳhushī ġham ko musalsal kar diyā

    us ne bikhre kaghazon ko chhu ke sandal kar diya

    ek adhuri si ghazal ko yun mukammal kar diya

    kuchh to diwana tha main pahle hi us ke ishq mein

    us ne chilman yun haTai mujh ko pagal kar diya

    us ke jalwon ka karishma tha ki jis ne dosto

    sari duniya ko meri aankhon se ojhal kar diya

    main bahut uljha hua tha zindagi ke pher mein

    tu ne meri jaan le kar masala hal kar diya

    us ne yun Dali inayat ki nazar 'santosh' par

    chhin kar har ek KHushi gham ko musalsal kar diya

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now