usne bola mera guzara nain
us ne bolā mirā guzāra na.iiñ
maiñ ne jaane diyā pukārā na.iiñ
us ne is tarh se kiyā barbād
maiñ ne ḳhud ko kabhī sañvārā na.iiñ
phir to kuchh bhī nahīñ hamārā yaar
vo bhī sach meñ agar hamārā na.iiñ
aise jhaTkā hai us ne haath mirā
jaise milnā kabhī dubāra na.iiñ
us se duurī baḌhā rahā huuñ magar
us ko dil se abhī utārā na.iiñ
maiñ to hāzir thā jaan dene ko
lekin us ne mujhe pukārā na.iiñ
girnā bantā hai ab 'junaid' mirā
ab kisī kā mujhe sahārā na.iiñ
us ne bola mera guzara nain
main ne jaane diya pukara nain
us ne is tarh se kiya barbaad
main ne KHud ko kabhi sanwara nain
phir to kuchh bhi nahin hamara yar
wo bhi sach mein agar hamara nain
aise jhaTka hai us ne hath mera
jaise milna kabhi dubara nain
us se duri baDha raha hun magar
us ko dil se abhi utara nain
main to hazir tha jaan dene ko
lekin us ne mujhe pukara nain
girna banta hai ab 'junaid' mera
ab kisi ka mujhe sahaara nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.