usne chaha ki kuchh kamal bane
us ne chāhā ki kuchh kamāl bane
tab hamāre ye ḳhadd-o-ḳhāl bane
phir na mausam bhī vaisā saaf huā
phir na vaise hamāre baal bane
Thiik hai ham pe uñgliyāñ uTThīñ
baat ye hai ki ham misāl bane
ek ġhaibī ḳhudā ke hote hue
kaun hai jo hamārī Dhaal bane
dekhiye kyā javāb aatā hai
phir rahe haiñ tirā savāl bane
hasb-e-dastūr vo bhī thā maġhrūr
shukr hai ham bhī hasb-e-hāl bane
aap jaise hasīn bhī kam haiñ
log ham se bhī ḳhāl-ḳhāl bane
us ne chaha ki kuchh kamal bane
tab hamare ye KHadd-o-KHal bane
phir na mausam bhi waisa saf hua
phir na waise hamare baal bane
Thik hai hum pe ungliyan uTThin
baat ye hai ki hum misal bane
ek ghaibi KHuda ke hote hue
kaun hai jo hamari Dhaal bane
dekhiye kya jawab aata hai
phir rahe hain tera sawal bane
hasb-e-dastur wo bhi tha maghrur
shukr hai hum bhi hasb-e-haal bane
aap jaise hasin bhi kam hain
log hum se bhi KHal-KHal bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.