usne dekha tha kal andaz se jate jate
us ne dekhā thā kal andāz se jaate jaate
ki mujhe chain na aayā kahīñ aate aate
ham ko manzūr nahīñ hai ki bharam un kā khule
varna ā.īna dikhā dete ham aate jaate
vaz.a kahtī hai vo rūThe haiñ to jaa.eñ rūTheñ
dil kī ḳhvāhish hai ki ham un ko manāte jaate
ho ga.e ham hī añdhere ke ab aadī varna
parda un ke ruḳh-e-raushan se uThāte jaate
ye jo fitrat hai mirī thoḌī sī ḳhuddārī kī
varna har haal meñ ham un se nibhāte jaate
kah diyā un ko mirī āñkhoñ ne sab kuchh 'anjum'
varna ik taaza ġhazal ham bhī sunāte jaate
us ne dekha tha kal andaz se jate jate
ki mujhe chain na aaya kahin aate aate
hum ko manzur nahin hai ki bharam un ka khule
warna aaina dikha dete hum aate jate
waza kahti hai wo ruThe hain to jaen ruThen
dil ki KHwahish hai ki hum un ko manate jate
ho gae hum hi andhere ke ab aadi warna
parda un ke ruKH-e-raushan se uThate jate
ye jo fitrat hai meri thoDi si KHuddari ki
warna har haal mein hum un se nibhate jate
kah diya un ko meri aankhon ne sab kuchh 'anjum'
warna ek taza ghazal hum bhi sunate jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.