usne dil par war kiya hai kuchh to baat rahi hogi
us ne dil par vaar kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
mujh ko yuuñ bīmār kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
vo jo dil kī khiḌkī us ne merī ḳhātir kholī thī
us ko gar dīvār kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
avval us ne hī aa kar iqrār kiyā thā chāhat kā
phir jo ye inkār kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
ab jo ham ko ġhair-zarūrī kahtā hai us ne ham par
vaqt agar be-kār kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
yaaro ham be-kār sahī par itne bhī be-kār nahīñ
us ne ham se pyaar kiyā hai kuchh to baat rahī hogī
us ne dil par war kiya hai kuchh to baat rahi hogi
mujh ko yun bimar kiya hai kuchh to baat rahi hogi
wo jo dil ki khiDki us ne meri KHatir kholi thi
us ko gar diwar kiya hai kuchh to baat rahi hogi
awwal us ne hi aa kar iqrar kiya tha chahat ka
phir jo ye inkar kiya hai kuchh to baat rahi hogi
ab jo hum ko ghair-zaruri kahta hai us ne hum par
waqt agar be-kar kiya hai kuchh to baat rahi hogi
yaro hum be-kar sahi par itne bhi be-kar nahin
us ne hum se pyar kiya hai kuchh to baat rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.