Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne ghairon ki tarah meri pazirai ki

Shareef Ahmad Qureshi

usne ghairon ki tarah meri pazirai ki

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    us ne ġhairoñ tarah merī pazīrā.ī

    baat to sach hai magar baat hai rusvā.ī

    ḳhvāb thā ki sarāb aah hujūm-e-guzarāñ

    fikr hai ab to sharīk-e-ġham-e-tanhā.ī

    ḳhūn-e-dil ko shab-e-tārīk meñ raushan kar ke

    ham ne tā-umr yuuñ anjuman-ārā.ī

    tez-tar hotī ga.ī firqa-parastī havā

    dhajjiyāñ ḳhuub uḌaa.ī ga.iiñ yaktā.ī

    mas.ale kitne bhī uljhe hoñ sulajh sakte haiñ

    band kamroñ meñ jo bāteñ na hoñ dānā.ī

    us ne ghairon ki tarah meri pazirai ki

    baat to sach hai magar baat hai ruswai ki

    KHwab tha ya ki sarab aah hujum-e-guzaran

    fikr hai ab to sharik-e-gham-e-tanhai ki

    KHun-e-dil ko shab-e-tarik mein raushan kar ke

    hum ne ta-umr yun hi anjuman-arai ki

    tez-tar hoti gai firqa-parasti ki hawa

    dhajjiyan KHub uDai gain yaktai ki

    masale kitne bhi uljhe hon sulajh sakte hain

    band kamron mein jo baaten na hon danai ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now