usne haal-e-dil-e-nashad na dekha na suna
usne haal-e-dil-e-nashad na dekha na suna
Faheemuddin Ahmad Faheem
MORE BYFaheemuddin Ahmad Faheem
us ne hāl-e-dil-e-nāshād na dekhā na sunā
aisā zālim sitam-ījād na dekhā na sunā
bol uThe dekh ke vo ḳhāna-e-vīrāñ merā
koī aisā to ġham-ābād na dekhā na sunā
tere bismil ko taḌapne kī ijāzat bhī nahīñ
maiñ ne tujh sā koī jallād na dekhā na sunā
aap kā bhī hai ajab haal ġhalat kah uTThe
aap ne qissa-e-farhād na dekhā na sunā
maiñ jahāñ jaatā huuñ nāseh bhī pahuñchtā hai vahīñ
is tarah kā koī ham-zād na dekhā na sunā
mausam-e-gul meñ chhuḌāyā hai chaman bulbul se
zulm is tarah kā sayyād na dekhā na sunā
be-gunā lākhoñ hī maqtal meñ hue haa.e shahīd
tū ne kuchh bānī-e-be-dād na dekhā na sunā
jhuuT sach jo tirā jī chāhe kahe jā vaa.iz
maiñ ne hāl-e-adam-ābād na dekhā na sunā
ḳhāna-e-dil mirā vīrān hai jaisā aisā
dūsrā ḳhāna-e-barbād na dekhā na sunā
maiñ to andhā thā mohabbat meñ kisī kī lekin
tū ne bhī ai dil-e-nāshād na dekhā na sunā
hāl-e-dil us ko sunāyā hai 'fahīm' āḳhir-kār
maiñ ne tujh sā koī ustād na dekhā na sunā
us ne haal-e-dil-e-nashad na dekha na suna
aisa zalim sitam-ijad na dekha na suna
bol uThe dekh ke wo KHana-e-viran mera
koi aisa to gham-abaad na dekha na suna
tere bismil ko taDapne ki ijazat bhi nahin
main ne tujh sa koi jallad na dekha na suna
aap ka bhi hai ajab haal ghalat kah uTThe
aap ne qissa-e-farhad na dekha na suna
main jahan jata hun naseh bhi pahunchta hai wahin
is tarah ka koi ham-zad na dekha na suna
mausam-e-gul mein chhuDaya hai chaman bulbul se
zulm is tarah ka sayyaad na dekha na suna
be-guna lakhon hi maqtal mein hue hae shahid
tu ne kuchh bani-e-be-dad na dekha na suna
jhuT sach jo tera ji chahe kahe ja waiz
main ne haal-e-adam-abaad na dekha na suna
KHana-e-dil mera viran hai jaisa aisa
dusra KHana-e-barbaad na dekha na suna
main to andha tha mohabbat mein kisi ki lekin
tu ne bhi ai dil-e-nashad na dekha na suna
haal-e-dil us ko sunaya hai 'fahim' aaKHir-kar
main ne tujh sa koi ustad na dekha na suna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.