usne hum ko jhil tarai aur pahaD diye
us ne ham ko jhiil tarā.ī aur pahāḌ diye
ham ne in sab kī gardan meñ panje gaaḌ diye
zanjīroñ meñ jakḌī us muñh-zor havā ne phir
toḌ diye khiḌkī darvāze par de phaaḌ diye
shabnam shabnam motī bo kar aashā baiThī thī
lashkar aayā khet jalā.e peḌ ukhāḌ diye
ret bharī nahroñ ko dekho bahnā bhuul ga.iiñ
nafrat kī āñdhī ne kitne shahr ujaaḌ diye
ham to giilī ret the jis ko rauñdā jaanā thā
us ne bhī kuchh naqsh banā.e aur bigāḌ diye
us ne hum ko jhil tarai aur pahaD diye
hum ne in sab ki gardan mein panje gaD diye
zanjiron mein jakDi us munh-zor hawa ne phir
toD diye khiDki darwaze par de phaD diye
shabnam shabnam moti bo kar aasha baiThi thi
lashkar aaya khet jalae peD ukhaD diye
ret bhari nahron ko dekho bahna bhul gain
nafrat ki aandhi ne kitne shahr ujaD diye
hum to gili ret the jis ko raunda jaana tha
us ne bhi kuchh naqsh banae aur bigaD diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.