usne humse yahi shikayat ki
us ne ham se yahī shikāyat kī
is qadar ham se kyoñ mohabbat kī
āshiqoñ kī namāz hone lagī
aur miyāñ qais ne imāmat kī
laa.e tashrīf mere ḳhvāboñ meñ
ḳhvāh-maḳhvāh aap ne ye zahmat kī
vo the taz.īn-e-husn meñ masrūf
ham ne milne meñ thoḌī ujlat kī
us ne dekhā magar na pahchānā
ḳhair jo bhī kiyā ināyat kī
phir sukūñ dil kā ho gayā barbād
terī yādoñ ne kyā qayāmat kī
rishte aksar haiñ jhuuT par qaa.em
koī qīmat nahīñ sadāqat kī
ishq ke naam par hue barbād
par na mahbūb se shikāyat kī
chand aañsū haiñ us kī yādeñ haiñ
baat kuchh pochhiye na ḳhalvat kī
us ne hum se yahi shikayat ki
is qadar hum se kyon mohabbat ki
aashiqon ki namaz hone lagi
aur miyan qais ne imamat ki
lae tashrif mere KHwabon mein
KHwah-maKHwah aap ne ye zahmat ki
wo the tazin-e-husn mein masruf
hum ne milne mein thoDi ujlat ki
us ne dekha magar na pahchana
KHair jo bhi kiya inayat ki
phir sukun dil ka ho gaya barbaad
teri yaadon ne kya qayamat ki
rishte aksar hain jhuT par qaem
koi qimat nahin sadaqat ki
ishq ke nam par hue barbaad
par na mahbub se shikayat ki
chand aansu hain us ki yaaden hain
baat kuchh pochhiye na KHalwat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.