usne hans kar mujhe pukara tha
us ne hañs kar mujhe pukārā thā
kis ko mahfil meñ ye gavāra thā
vo namak Dālte the zaḳhmoñ par
apnoñ kā bhī baḌā sahārā thā
maujoñ kī sāzisheñ hī le Dūbīñ
jab ki nazdīk hī kinārā thā
ghol dī kis ne nafrateñ ghar meñ
kab yahāñ par mirā tumhārā thā
bazm meñ naam kab liyā bolo
ham ne to bas kiyā ishāra thā
'umr 'divyā' Dhalān par thī jab
'ishq tum se huā dubāra thā
us ne hans kar mujhe pukara tha
kis ko mahfil mein ye gawara tha
wo namak Dalte the zaKHmon par
apnon ka bhi baDa sahaara tha
maujon ki sazishen hi le Dubin
jab ki nazdik hi kinara tha
ghol di kis ne nafraten ghar mein
kab yahan par mera tumhaara tha
bazm mein nam kab liya bolo
hum ne to bas kiya ishaara tha
'umr 'diwya' Dhalan par thi jab
'ishq tum se hua dubara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.