usne har-su DhunDa hoga
us ne har-sū DhūñDā hogā
koī bhalā kyā mujh sā hogā
lamhe bhar ke sāthī the ham
lamha-bhar ko sochā hogā
merā mansab jalnā hī thā
ab vo bādal barsā hogā
ḳhvāb-nagar kā sāthī thā jo
ḳhvāb-nagar meñ khoyā hogā
pahle pahar meñ yaad jo aayā
sub.h talak vo jaagā hogā
itnā us ko chāhā kyuuñ thā
ik din ḳhud se pūchhā hogā
tez havā meñ girte shajar ko
us ne shāyad dekhā hogā
patte jab kuchh bikhre hoñge
mere liye bhī sochā hogā
tanhā shajar kī sūrat 'ādil'
duur kahīñ kā saaya hogā
us ne har-su DhunDa hoga
koi bhala kya mujh sa hoga
lamhe bhar ke sathi the hum
lamha-bhar ko socha hoga
mera mansab jalna hi tha
ab wo baadal barsa hoga
KHwab-nagar ka sathi tha jo
KHwab-nagar mein khoya hoga
pahle pahar mein yaad jo aaya
subh talak wo jaga hoga
itna us ko chaha kyun tha
ek din KHud se puchha hoga
tez hawa mein girte shajar ko
us ne shayad dekha hoga
patte jab kuchh bikhre honge
mere liye bhi socha hoga
tanha shajar ki surat 'adil'
dur kahin ka saya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.