usne ek bar kaha dekh ke chal pani mein
us ne ik baar kahā dekh ke chal paanī meñ
dekhte dekhte sab ho ga.e hal paanī meñ
itnā komal hai ki chhūne se bikhar jā.egā
taaza taaza abhī niklā hai kañval paanī meñ
ye mirā jism hai jaltā huā is jism ko aaj
paañv se rauñd aur hāthoñ se kuchal paanī meñ
āḳhirī baar tujhe chhū ke ye mahsūs kiyā
aag lag saktī hai is baar sañbhal paanī meñ
kaise mumkin hai mire dost mire girya-guzār
aaj meñ se hī nikal aa.egā kal paanī meñ
ye mire pyaar kī hai āḳhirī tasvīr sañbhāl
TuuT jaa.e na kahīñ dekh ke chal paanī meñ
jo tumheñ dekh rahā hai abhī chhup-chhup ke 'nadīm'
ek din aa.egā vo le ke ġhazal paanī meñ
us ne ek bar kaha dekh ke chal pani mein
dekhte dekhte sab ho gae hal pani mein
itna komal hai ki chhune se bikhar jaega
taza taza abhi nikla hai kanwal pani mein
ye mera jism hai jalta hua is jism ko aaj
panw se raund aur hathon se kuchal pani mein
aaKHiri bar tujhe chhu ke ye mahsus kiya
aag lag sakti hai is bar sanbhal pani mein
kaise mumkin hai mere dost mere girya-guzar
aaj mein se hi nikal aaega kal pani mein
ye mere pyar ki hai aaKHiri taswir sanbhaal
TuT jae na kahin dekh ke chal pani mein
jo tumhein dekh raha hai abhi chhup-chhup ke 'nadim'
ek din aaega wo le ke ghazal pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.