usne ek din bhi na puchha bol aaKHir kis liye
us ne ik din bhī na pūchhā bol āḳhir kis liye
tū mire hote dukhī hai mere shā.ir kis liye
saañs lene par mujhe majbūr kartā hai ye kaun
kyā batā.ūñ jī rahā huuñ kis kī ḳhātir kis liye
sochtā huuñ kyuuñ bikhar jaatī nahīñ har ek shai
vo nahīñ hai to murattab haiñ anāsir kis liye
vo jo us ke dil meñ hai kyuuñ us ke hoñToñ par nahīñ
kuchh nahīñ tū mujh se miltā hai ba-zāhir kis liye
kis ne har shai ko kiyā vahm-o-gumāñ meñ mubtalā
ho gayā saaya mirā mujh se hī munkir kis liye
kaun dekhegā hamārī ḳhūn-āmezī yahāñ
aa ga.e andhoñ meñ ham rañgoñ ke tājir kis liye
ab rahā hī kyā hai mere jeb-o-dāman meñ 'riyāz'
aa rahā hai mere pīchhe vaqt-e-shātir kis liye
us ne ek din bhi na puchha bol aaKHir kis liye
tu mere hote dukhi hai mere shair kis liye
sans lene par mujhe majbur karta hai ye kaun
kya bataun ji raha hun kis ki KHatir kis liye
sochta hun kyun bikhar jati nahin har ek shai
wo nahin hai to murattab hain anasir kis liye
wo jo us ke dil mein hai kyun us ke honTon par nahin
kuchh nahin tu mujh se milta hai ba-zahir kis liye
kis ne har shai ko kiya wahm-o-guman mein mubtala
ho gaya saya mera mujh se hi munkir kis liye
kaun dekhega hamari KHun-amezi yahan
aa gae andhon mein hum rangon ke tajir kis liye
ab raha hi kya hai mere jeb-o-daman mein 'riyaz'
aa raha hai mere pichhe waqt-e-shatir kis liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.