usne jaane ki kahi ho jaise
us ne jaane kī kahī ho jaise
koī āñdhī sī chalī ho jaise
aaj kuchh aisī thakan hai mujh ko
raat āñkhoñ meñ kaTī ho jaise
phir mirī aañkh se aañsū Tapkā
koī ummīd bañdhī ho jaise
aaj hañsne ko bahut jī chāhe
dil pe ik choT lagī ho jaise
tujh se mil kar ye huā hai mahsūs
zindagī aaj milī ho jaise
us ne jaane ki kahi ho jaise
koi aandhi si chali ho jaise
aaj kuchh aisi thakan hai mujh ko
raat aankhon mein kaTi ho jaise
phir meri aankh se aansu Tapka
koi ummid bandhi ho jaise
aaj hansne ko bahut ji chahe
dil pe ek choT lagi ho jaise
tujh se mil kar ye hua hai mahsus
zindagi aaj mili ho jaise
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 525)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.