usne jab ban-sanwar ke dastak di
us ne jab ban-sañvar ke dastak dī
yuuñ lagā sīdhe dil pe dastak dī
dauḌ kar kholte the darvāza
sochte the ki tū ne dastak dī
us ne khiḌkī se bhī nahīñ jhāñkā
umr bhar jis ke dar pe dastak dī
raat pathrā.ī bhīgī āñkhoñ meñ
ḳhvāb ke qāfile ne dastak dī
maiñ ne darvāza hī nahīñ kholā
raat phir ḳhud-kushī ne dastak dī
zindagī kar ga.ī ġhazal puurī
maut ke qāfiye ne dastak dī
us ne jab ban-sanwar ke dastak di
yun laga sidhe dil pe dastak di
dauD kar kholte the darwaza
sochte the ki tu ne dastak di
us ne khiDki se bhi nahin jhanka
umr bhar jis ke dar pe dastak di
raat pathrai bhigi aankhon mein
KHwab ke qafile ne dastak di
main ne darwaza hi nahin khola
raat phir KHud-kushi ne dastak di
zindagi kar gai ghazal puri
maut ke qafiye ne dastak di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.