usne jazba hi nahin paya pighalne wala
us ne jazba hī nahīñ paayā pighalne vaalā
sham' kī tarah patangā nahīñ jalne vaalā
darguzar karne kī 'ādat se milā hai ye maqām
phuul barsāne lagā zahr ugalne vaalā
laḌkhaḌā jaa.e agar koī to ḳhushiyāñ na manā
girte girte bhī sañbhaltā hai sañbhalne vaalā
dostoñ kā kabhī ehsān uThātā hī nahīñ
le ke baisākhiyāñ dushman kī uchhalne vaalā
ye jo kam-zarfoñ ne kohrām machā rakkhā hai
ek do din se ziyāda nahīñ chalne vaalā
nukta-chīnoñ se kaho 'umr hai thoḌī un kī
maiñ vo sūraj huuñ jo jaldī nahīñ Dhalne vaalā
chāl-bāzī tirī ḳhud tujh ko hī le Dūbegī
ek din tū kaf-e-afsos hai malne vaalā
tū zamāne kī himāyat pe bharosa mat kar
ye hai girgiT kī tarah rang badalne vaalā
mujh ko phūñkoñ se bujhā pā.egā kyā koī 'shakīl'
vo diyā huuñ jo hai tūfān meñ jalne vaalā
us ne jazba hi nahin paya pighalne wala
sham' ki tarah patanga nahin jalne wala
darguzar karne ki 'adat se mila hai ye maqam
phul barsane laga zahr ugalne wala
laDkhaDa jae agar koi to KHushiyan na mana
girte girte bhi sanbhalta hai sanbhalne wala
doston ka kabhi ehsan uThata hi nahin
le ke baisakhiyan dushman ki uchhalne wala
ye jo kam-zarfon ne kohram macha rakkha hai
ek do din se ziyaada nahin chalne wala
nukta-chinon se kaho 'umr hai thoDi un ki
main wo suraj hun jo jaldi nahin Dhalne wala
chaal-bazi teri KHud tujh ko hi le Dubegi
ek din tu kaf-e-afsos hai malne wala
tu zamane ki himayat pe bharosa mat kar
ye hai girgiT ki tarah rang badalne wala
mujh ko phunkon se bujha paega kya koi 'shakil'
wo diya hun jo hai tufan mein jalne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.