usne kaha ki dil ka kaha man ishq hai
us ne kahā ki dil kā kahā maan 'ishq hai
us din khulā ki vāqa'ī āsān 'ishq hai
hairān mat ho dekh ke dīvāngī mirī
tū mahz tū nahīñ hai mirī jaan 'ishq hai
phirtā hai nisf-shab koī saaya tirī taraf
āñkheñ agar milī haiñ to pahchān 'ishq hai
paimāna gar nahīñ hai to is tarh naap le
jo fāsla hai mumbai tahrān 'ishq hai
tū hijr meñ bhī saath rahā vasl kī tarah
mazmūn kuchh alag hai pe 'unvān 'ishq hai
us ne kaha ki dil ka kaha man 'ishq hai
us din khula ki waqa'i aasan 'ishq hai
hairan mat ho dekh ke diwangi meri
tu mahz tu nahin hai meri jaan 'ishq hai
phirta hai nisf-shab koi saya teri taraf
aankhen agar mili hain to pahchan 'ishq hai
paimana gar nahin hai to is tarh nap le
jo fasla hai mumbai tahran 'ishq hai
tu hijr mein bhi sath raha wasl ki tarah
mazmun kuchh alag hai pe 'unwan 'ishq hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 79)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.