usne KHud ko guzara phulon se
us ne ḳhud ko guzārā phūloñ se
bhar gayā shahr saarā phūloñ se
tum mujhe āsmānī lagte ho
kah rahā thā sitāra phūloñ se
baaġh se le lī dushmanī maiñ ne
zikr kar ke tumhārā phūloñ se
lag ga.ī aag sabz manzar meñ
kyā huā hai ishāra phūloñ se
ḳhushbuoñ ke safīr haiñ ham log
hai ta.alluq hamārā phūloñ se
titliyāñ bech kar huā puurā
jo huā hai ḳhasāra phūloñ se
us ne KHud ko guzara phulon se
bhar gaya shahr sara phulon se
tum mujhe aasmani lagte ho
kah raha tha sitara phulon se
bagh se le li dushmani main ne
zikr kar ke tumhaara phulon se
lag gai aag sabz manzar mein
kya hua hai ishaara phulon se
KHushbuon ke safir hain hum log
hai talluq hamara phulon se
titliyan bech kar hua pura
jo hua hai KHasara phulon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.