Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne KHwab mein mujhko jab do kanwal diye

Nighat Naseem

usne KHwab mein mujhko jab do kanwal diye

Nighat Naseem

MORE BYNighat Naseem

    us ne ḳhvāb meñ mujh ko jab do kañval diye

    jīvan nadiyā ke dhāre badal diye

    un phūloñ ab bhī yaad satātī hai

    phuul jo apne hāthoñ ḳhud masal diye

    maiñ ne jhiil kināre us naam liyā

    jhiil ne hañs ke niile motī ugal diye

    saare armāñ kab nikle haiñ siine se

    aise bhī haiñ siine meñ jo machal diye

    aise bhī the log jo gir ke sambhle kam

    ham ne Thokar khaa.ī aur phir sambhal diye

    us dukh ne rakkhā hai mujh ko abad talak

    jis dukh ne haañ mujh ko jām-e-azal diye

    us ne hañs kar mujh se merī bāteñ kiiñ

    lamhe bhar meñ saare mausam badal diye

    us se 'nig.hat' qaa.em merā pyaar rahe

    jis ne ye ash.ār ba-sūrat-ġhazal diye

    us ne KHwab mein mujh ko jab do kanwal diye

    jiwan ki nadiya ke dhaare badal diye

    un phulon ki ab bhi yaad satati hai

    phul jo apne hathon KHud hi masal diye

    main ne jhil kinare us ka nam liya

    jhil ne hans ke nile moti ugal diye

    sare arman kab nikle hain sine se

    aise bhi hain sine mein jo machal diye

    aise bhi the log jo gir ke sambhle kam

    hum ne Thokar khai aur phir sambhal diye

    us dukh ne rakkha hai mujh ko abad talak

    jis dukh ne han mujh ko jam-e-azal diye

    us ne hans kar mujh se meri baaten kin

    lamhe bhar mein sare mausam badal diye

    us se 'nighat' qaem mera pyar rahe

    jis ne ye ashaar ba-surat-ghazal diye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now