usne kuchh kan mein chupke se kaha raat gae
usne kuchh kan mein chupke se kaha raat gae
Sajid Sajni Lakhnawi
MORE BYSajid Sajni Lakhnawi
us ne kuchh kaan meñ chupke se kahā raat ga.e
maiñ ne sab sun ke bhī jaise na sunā raat ga.e
aaj bhayyā ne ḳhudā jaane khilā dī kyā shai
paanī bhābī ne ka.ī baar piyā raat ga.e
kyā kaheñge mujhe batlāo mohalle vaale
tum ko aate hue gar dekh liyā raat ga.e
maiñ vahāñ jā ke paḌhā kartī huuñ aksar bhābī
achchhī lagtī hai khulī chhat kī havā raat ga.e
haath tauba ko ka.ī baar uThā.e maiñ ne
yaad aayā hai ka.ī baar ḳhudā raat ga.e
aaj vo aa ga.e pardes se vāpas 'sajnī'
maiñ nai kal raat ko māñgī thī duā raat ga.e
us ne kuchh kan mein chupke se kaha raat gae
main ne sab sun ke bhi jaise na suna raat gae
aaj bhayya ne KHuda jaane khila di kya shai
pani bhabi ne kai bar piya raat gae
kya kahenge mujhe batlao mohalle wale
tum ko aate hue gar dekh liya raat gae
main wahan ja ke paDha karti hun aksar bhabi
achchhi lagti hai khuli chhat ki hawa raat gae
hath tauba ko kai bar uThae main ne
yaad aaya hai kai bar KHuda raat gae
aaj wo aa gae pardes se wapas 'sajni'
main nai kal raat ko mangi thi dua raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.