usne kya kya nahin diya mujhko
us ne kyā kyā nahīñ diyā mujh ko
chain phir bhī nahīñ milā mujh ko
kal shab-e-hijr sharmsār huī
tū nahīñ hai nahīñ lagā mujh ko
ab kitāboñ se kuchh nahīñ hogā
maar Dālegā tajraba mujh ko
sochtā huuñ ki ab kahāñ jā.ūñ
tū bhī pāgal na kar sakā mujh ko
mujh se aage nahīñ nikal saktā
vo nahīñ degā rāsta mujh ko
maiñ jo baḌhtā huuñ sar-varaq kī taraf
khīñch letā hai hāshiya mujh ko
maiñ chhupā rahtā zindagī meñ aur
tū kahīñ aur DhūñDtā mujh ko
maiñ vahī shor likhtā rahtā huuñ
jis ne ḳhāmosh kar diyā mujh ko
us ne kya kya nahin diya mujh ko
chain phir bhi nahin mila mujh ko
kal shab-e-hijr sharmsar hui
tu nahin hai nahin laga mujh ko
ab kitabon se kuchh nahin hoga
mar Dalega tajraba mujh ko
sochta hun ki ab kahan jaun
tu bhi pagal na kar saka mujh ko
mujh se aage nahin nikal sakta
wo nahin dega rasta mujh ko
main jo baDhta hun sar-waraq ki taraf
khinch leta hai hashiya mujh ko
main chhupa rahta zindagi mein aur
tu kahin aur DhunDta mujh ko
main wahi shor likhta rahta hun
jis ne KHamosh kar diya mujh ko
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 19)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.