usne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe
us ne mā.il-ba-karam ho ke bulāyā hai mujhe
aaj phir dil ne ye afsāna sunāyā hai mujhe
sard-mehrī pe bhī hotā hai tavajjoh kā gumāñ
is tarah us ne tavaqqo.a pe lagāyā hai mujhe
yuuñ to fitrat meñ bhī āshufta-mizājī thī mirī
asl meñ aap ne dīvāna banāyā hai mujhe
parda-dārī thī use rabt-e-nihāñ kī manzūr
bazm meñ apnī bahut duur biThāyā hai mujhe
ye mire zo.am-e-bulandī kī sazā hai shāyad
us ne kuchh soch ke nazroñ se girāyā hai mujhe
us ne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe
aaj phir dil ne ye afsana sunaya hai mujhe
sard-mehri pe bhi hota hai tawajjoh ka guman
is tarah us ne tawaqqoa pe lagaya hai mujhe
yun to fitrat mein bhi aashufta-mizaji thi meri
asl mein aap ne diwana banaya hai mujhe
parda-dari thi use rabt-e-nihan ki manzur
bazm mein apni bahut dur biThaya hai mujhe
ye mere zoam-e-bulandi ki saza hai shayad
us ne kuchh soch ke nazron se giraya hai mujhe
- Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 216)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.