Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

usne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    us ne mai ke sar-e-bazm jo sāġhar ulTā

    varaq-e-anjuman-e-dahr sarāsar ulTā

    dekhne vaale ko duniyā hai sarāpā tasvīr

    go hai ā.īne meñ aks ruḳh-e-dilbar ulTā

    kar diyā aa ke chaman ko tah-o-bālā kis ne

    koī sīdhā hai yahāñ koī gul-e-tar ulTā

    naaz se mujh ko sar-e-bazm jo saaqī ne diyā

    haath tharrā.e kuchh is tarah ki sāġhar ulTā

    ai ḳhudā kyā yuuñ aatī hai kisī dost yaad

    aa gayā muñh ko kaleja dil-e-muztar ulTā

    dād-ḳhvāhān-e-mohabbat ye amboh-e-kasīr

    dil mirā dekh ke hañgāma-e-mahshar ulTā

    jis pe ki baiTh ke vaa.iz ne mazammat mai

    majlis-e-vāz meñ rindoñ ne vo mimbar ulTā

    zamāne meñ mohabbat ke fasāne haiñ ġhalat

    mirā naqsh-e-vafā hai mire dil par ulTā

    tā-kujā ai dil-e-bīmār ye rāhat-talabī

    umr bhar jab se bichhā phir na ye bistar ulTā

    uTh ga.ī aaj zamāne se bisāt-e-ulfat

    bistar-e-marg mirā us ne ye kah kar ulTā

    ashk-bārī-e-shab-e-hijr kyā haal likhūñ

    dīda-e-tar ne 'nazar' ek samundar ulTā

    us ne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa

    waraq-e-anjuman-e-dahr sarasar ulTa

    dekhne wale ko duniya hai sarapa taswir

    go hai aaine mein aks ruKH-e-dilbar ulTa

    kar diya aa ke chaman ko tah-o-baala kis ne

    koi sidha hai yahan koi gul-e-tar ulTa

    naz se mujh ko sar-e-bazm jo saqi ne diya

    hath tharrae kuchh is tarah ki saghar ulTa

    ai KHuda kya yun hi aati hai kisi dost ki yaad

    aa gaya munh ko kaleja dil-e-muztar ulTa

    dad-KHwahan-e-mohabbat ka ye amboh-e-kasir

    dil mera dekh ke hangama-e-mahshar ulTa

    jis pe ki baiTh ke waiz ne mazammat mai ki

    majlis-e-waz mein rindon ne wo mimbar ulTa

    ya zamane mein mohabbat ke fasane hain ghalat

    ya mera naqsh-e-wafa hai mere dil par ulTa

    ta-kuja ai dil-e-bimar ye rahat-talabi

    umr bhar jab se bichha phir na ye bistar ulTa

    uTh gai aaj zamane se bisat-e-ulfat

    bistar-e-marg mera us ne ye kah kar ulTa

    ashk-bari-e-shab-e-hijr ka kya haal likhun

    dida-e-tar ne 'nazar' ek samundar ulTa

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now