usne mujhko yaad kiya hai
us ne mujh ko yaad kiyā hai
lekin mere ba.ad kiyā hai
dil kī baat batā kar ham ne
ik rishta barbād kiyā hai
ishq kiyā thā donoñ ne par
kis ne kis ko shaad kiyā hai
panchhī ne marne kī ḳhātir
ḳhud ko ab sayyād kiyā hai
qaid-e-zīst sunā kar bole
jā tujh ko āzād kiyā hai
aaj ġhazal gā.eñge bādal
dhartī ne irshād kiyā hai
us ne mujh ko yaad kiya hai
lekin mere baad kiya hai
dil ki baat bata kar hum ne
ek rishta barbaad kiya hai
ishq kiya tha donon ne par
kis ne kis ko shad kiya hai
panchhi ne marne ki KHatir
KHud ko ab sayyaad kiya hai
qaid-e-zist suna kar bole
ja tujh ko aazad kiya hai
aaj ghazal gaenge baadal
dharti ne irshad kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.