usne mujhse ghalat-bayani ki
us ne mujh se ġhalat-bayānī kī
ye alāmat bhī hai javānī kī
sirf āñkheñ hī nam nahīñ kartā
ḳhūbiyāñ aur bhī haiñ paanī kī
aap ko niiñd aa rahī hai kyā
ibtidā hai abhī kahānī kī
haañ chhupā kar to rakh diyā lekin
kaise ḳhushbū miTe nishānī kī
lūTne meñ lage rahe saare
dil pe jis jis ne hukmrānī kī
āñ.suoñ ko bhī kar diyā nīlām
aap ne ḳhuub mehrbānī kī
saarī bastī meñ aag lagvā kar
us ne rakh lī dukān paanī kī
us ne mujh se ghalat-bayani ki
ye alamat bhi hai jawani ki
sirf aankhen hi nam nahin karta
KHubiyan aur bhi hain pani ki
aap ko nind aa rahi hai kya
ibtida hai abhi kahani ki
han chhupa kar to rakh diya lekin
kaise KHushbu miTe nishani ki
luTne mein lage rahe sare
dil pe jis jis ne hukmrani ki
aansuon ko bhi kar diya nilam
aap ne KHub mehrbani ki
sari basti mein aag lagwa kar
us ne rakh li dukan pani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.