usne phir aur kya kaha hoga
us ne phir aur kyā kahā hogā
rāz-e-hastī batā chukā hogā
tum jo chāho to jā milo us se
vo abhī moḌ par khaḌā hogā
be-ḳhudī aur baḌh ga.ī dil kī
jaane kyā yaad aa gayā hogā
mil ga.iiñ jis se aap kī nazreñ
aaj tak ḳhvāb dekhtā hogā
koī apnī hañsī ke parde meñ
dard dil kā chhupā rahā hogā
ajnabī shahr meñ chalo DhūñDeñ
koī to dard-āshnā hogā
shām-e-ġham meñ ye raushnī kaisī
dil kā sho.ala bhaḌak uThā hogā
us ne phir aur kya kaha hoga
raaz-e-hasti bata chuka hoga
tum jo chaho to ja milo us se
wo abhi moD par khaDa hoga
be-KHudi aur baDh gai dil ki
jaane kya yaad aa gaya hoga
mil gain jis se aap ki nazren
aaj tak KHwab dekhta hoga
koi apni hansi ke parde mein
dard dil ka chhupa raha hoga
ajnabi shahr mein chalo DhunDen
koi to dard-ashna hoga
sham-e-gham mein ye raushni kaisi
dil ka shoala bhaDak uTha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.