usne puchha to faqat dard ka afsana khula
us ne pūchhā to faqat dard kā afsāna khulā
kisī sūrat bhī na rāz-e-dil-e-dīvāna khulā
har-nafas pā-e-junūñ ke liye zanjīr-e-girāñ
kū-ba-kū phirtā rahā phir bhī ye dīvāna khulā
jal ke marte haiñ pa iz.hār ke sho.aloñ meñ nahīñ
hādisa yuuñ bhī huā sham.a se parvāna khulā
hijr kī raat Dhalī sub.h ke sāġhar meñ magar
niiñd aa.ī na tirī diid kā mai-ḳhāna khulā
us ne puchha to faqat dard ka afsana khula
kisi surat bhi na raaz-e-dil-e-diwana khula
har-nafas pa-e-junun ke liye zanjir-e-giran
ku-ba-ku phirta raha phir bhi ye diwana khula
jal ke marte hain pa izhaar ke shoalon mein nahin
hadisa yun bhi hua shama se parwana khula
hijr ki raat Dhali subh ke saghar mein magar
nind aai na teri did ka mai-KHana khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.